
Sapno ke bagh me ek haseen khwab dekha hai,
Bagh me khila ek lal gulab dekha hai.
pankhudiyon me uske paani ki boonden padi hai.
Suraj ki kirno ko unhe moti banate dekha hai.
Badi khoobsurat hai ye duniya
Ye ehsaas panapte dekha hai
Is khoobsurti ko pane ke liye
Is dil ko tadapte dekha hai.
Sapno ke bag me ek haseen khwab dekha hai
Is dil me chipe khoobsurat ehsas ko dekha hai.
Aankho ke raaste ek hassen ehsas dekha hai
Ehsason ke samandar me khushiyan pirote dekha hai.
samandar ki in lehron se ladna, aasan nahin hota yaaron
Par phir bhi, jeevan ko khushiyon se khilte dekha hai.
Sapno ke bag me ek haseen khwab dekha hai
Khwab me main ek lal gulab dekha hai...
2 comments:
wah!!!
shyrana mizaj hai!!!
sahi hai veki!!!
truely amazin!!!
Post a Comment